اردو हिंदी
Samjhane walon ne kitna un ko samjhaya logo | Shaahi Shayari
samjhane walon ne kitna un ko samjhaya logo

Ghazal

Samjhane walon ne kitna un ko samjhaya logo

Ilyas Ishqi

;

samjhane walon ne kitna un ko samjhaya logo
phir bhi dhoka dil walon ne hir-phir kar khaya logo

nagri nagri phira musafir dukhi rahi kaya logo
virane mein chain se soya pa ke ghana saya logo

raja parja gyani murakh jag se KHali hath gae
kis ko KHabar kis ne kya khoya kis ne kya paya logo

fasle ki aur waqt duri dil ka qurb miTa na saka
kaisa kaisa pyara chehra dhyan mein dhundlaya logo

kahan talak hai us ka tana-bana ye malum nahin
sans ki is uljhi Dori ko kis ne suljhaya logo

in aankhon ne jo kuchh dekha kaun use sach manega
waqt ki dhup mein chand sa chehra kaise suno laya logo

duniya-dari ka har pahlu barat ke dekha 'ishqi' ne
ganTh girah ki kho kar us ne sab kuchh bhar paya logo