sambhal ai qadam ki ye kar-gah-e-nishat-o-gham hai KHabar bhi hai
jise log kahte hain rahguzar kisi pa-shikasta ka ghar bhi hai
mujhe muddaton yahi wahm tha ki ye KHak kimiya ban gai
isi kashmakash mein guzar gai ki fughan karun to asar bhi hai
hama-inkisar ki kaifiyat hai dam-e-widaa ki bebasi
mujhe yun payam-e-sukun na de tujhe apne aap se Dar bhi hai
meri juraton pe bhi kar nazar tujhe chahun sau dafa TuT kar
ye baja ki sina-e-shauq mein gham-e-pasbani-e-dar bhi hai
tujhe aagahi ki nahin KHabar meri gumrahi pe na tanz kar
are waqt waqt ki baat hai yahi aib rashk-e-hunar bhi hai
koi us ka dard bhi puchhta ki wo kuchh dinon se udas hai
ye junun ki pursish-e-haal kya jo azal se KHak-basar bhi hai
ye hai be-gunahi ka majra koi yunhi mujh se khincha raha
yahi soch soch ke rah gaya ki mere KHuda ko KHabar bhi hai
tujhe kho ke go main sambhal gaya ye na kah ki 'shaz' badal gaya
pas-e-parda teri panah mein meri sham bhi hai sahar bhi hai

Ghazal
Sambhal ai qadam ki ye kar-gah-e-nishat-o-gham hai KHabar bhi hai
Shaz Tamkanat