samand-e-shauq pe KHat us ka taziyana hua
mile hue bhi to us se hamein zamana hua
ye sochta hun ki aaKHir wo maslahat kya thi
ki jis se tark-e-talluq ka ek bahana hua
ab aa bhi jao ki ek dusre mein gum ho jaen
visal-o-hijr ka qissa bahut purana hua
wo jis se milne ki dil mein taDap ziyaada hai
hamara us se taaruf bhi ghaebana hua
sadaqaton pe yaqin koi kis tarah kar le
ki kal jo sach tha wahi aaj ek fasana hua
wo teri bazm se bazar ho ki gulshan ho
kahan kahan na mera dil tera nishana hua
wo aaj aae hain 'nadir' to aisa lagta hai
falak pe jaise hamara gharib-KHana hua
Ghazal
Samand-e-shauq pe KHat us ka taziyana hua
Athar Nadir