samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua
jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua
ajib aag laga kar koi rawana hua
mere makan ko jalte hue zamana hua
main tha kahan ka musawwir ki pujti duniya
bahut hua to mera ghar nigar-KHana hua
ugao dard ki faslen ki zindagi jage
lahu ki fasl ugate hue zamana hua
main aaina hun har ek sahib-e-nazar ke liye
magar KHud apne hi chehre se aashna na hua
bikhar gai thi sar-e-rah zindagi lekin
qadam ruke to mera farz taziyana hua

Ghazal
Samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua
Jamuna Parsad Rahi