samajh saka na koi aaj tak ki kya hun main
hawa ke dosh pe jalta hua diya hun main
wajud hoga mujassam mera kabhi na kabhi
abhi to teri faza mein bikhar raha hun main
ye kaise kah dun ki pahchanta bhi hun us ko
wo jis ko ek zamane se jaanta hun main
dua qubul hui iztirab baqi hai
yahi bahut hai ki kuchh kaamyab sa hun main
na jaane kab main kinare pe ja lagun 'jawed'
sawar naw pe hun aur Dubta hun main
Ghazal
Samajh saka na koi aaj tak ki kya hun main
Khawaja Javed Akhtar

