اردو हिंदी
Samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun | Shaahi Shayari
samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

Ghazal

Samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

Mirza Azfari

;

samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun
kahen hain log diwane ki diwana hun rota hun

bujhae ashk ye KHun ke jo fawware uchhalte hain
mizha se yar ke le nashtar aankhon mein chubhota hun

madad ai KHizr-e-girya gharq kariyo naw-e-dil aaj hi
ye hai Dubwane wala main ise pahle Dubota hun

but-e-sangin dil ki dekh taswir aankhen pathrain
ThiThuk hun naqsh-e-qalin sa na rota hun na sota hun

main ku-e-maikashan-o-mahwashan ke muttasil pahuncha
KHabar-dar ai harifo ab hawas-o-hosh khota hun

mabaada mere gul-ru ka gul-e-ruKHsar murjhawe
phuwar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigota hun