samad ko sarapa sanam dekhte hain
musamma ko asma mein hum dekhte hain
tujhe kaif-e-masti mein hum dekhte hain
salasa nazar ka adam dekhte hain
tera husn-e-ausaf hum dekhte hain
fana mein baqa dam-ba-dam dekhte hain
jo hain KHali-o-pur se sar-mast-e-naghma
ham-ahangi-e-kaif-o-kam dekhte hain
nazar-gah teri hai aaina-dil
tujhe hairati ho ke hum dekhte hain
fana hai fana muqtaza-e-mohabbat
taqaza-e-ulfat ko hum dekhte hain
ghubar-e-dil-o-dida jo pak kar de
hum us ashk-e-shabnam ko yam dekhte hain
uTha jab se pindar-e-hasti ka parda
tujhe nur-e-wahdat mein hum dekhte hain
makin-e-makan la-makani hai 'sahir'
hum andaz-e-dair-o-haram dekhte hain

Ghazal
Samad ko sarapa sanam dekhte hain
Sahir dehlavi