saman ghurub ka dil mein raha ubharte hue
KHayal KHak mein milne ka tha sanwarte hue
zamin udas hai aur aasman pe KHanda-kunan
guzar rahe hain sitare udas karte hue
bikhar gaya to mujhe koi gham nahin is ka
ki raaz mujh pe kai wa hue bikharte hue
fasurda itni hai is bar rahguzar-e-KHayal
KHiram-e-yar jhijakta hai gul katarte hue
mujhe bhi apna dil-e-rafta yaad aata hai
kabhi kabhi kisi bazar se guzarte hue
zamana lab pe ye angusht rakh ke kahta hai
ki dard-e-dil na kaho aur kaho to Darte hue
labon se nim tabassum bhi uTh gaya 'KHurshid'
udasiyon ka mudawa talash karte hue
Ghazal
Saman ghurub ka dil mein raha ubharte hue
Khursheed Rizvi