saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota
bike ab to gham-e-lachaar aisa kyun nahin hota
tumhaare aur mere darmiyan parda hai ghaflat ka
gire kambaKHt ye diwar aisa kyun nahin hota
abhi yun hi KHayal aaya agar wo zulm karta hai
to pahunche kaifar-e-kirdar aisa kyun nahin hota
farishta hi chala aae agar insan nahin aata
mera dil hai bayaban ghaar aisa kyun nahin hota
kisi ki yaad ki ThanDi hawaen aaj bhi hain par
karen dil ko gul-o-gulzar aisa kyun nahin hota
ghazal ka sher un par bhi asar-andaz hota hai
miyan 'ulfat' magar har bar aisa kyun nahin hota
Ghazal
Saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota
Shadab Ulfat