sair karne se hawa lene se
kaam hai dil ko maza lene se
dhup sae ki tarah phail gai
in daraKHton ki dua lene se
is tarah haal koi chhupta hai
is tarah zaKHm chhupa lene se
koi maqbul dua hoti hai
sirf hathon ko uTha lene se
mere jaisa wo nahin ho sakta
mera andaz chura lene se
raat kuchh achchhi guzar jati hai
chand ko chhat pe bula lene se
waqt be-waqt ka aazar mila
waqt ko sath laga lene se
aaj bhi nam wahi hai apna
kya hua nam kama lene se
Ghazal
Sair karne se hawa lene se
Kashif Husain Ghair