اردو हिंदी
Sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan | Shaahi Shayari
sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan

Ghazal

Sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan

Abroo Shah Mubarak

;

sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan
dil kun sharab-e-shauq ka saghar mudam jaan

tarz-e-nigah-e-ijz yahi arz-e-haal hai
ai ramz-dan haman ke ankhiyon ka kalam jaan

ruswa karenge tujh kun jagat mein nihaal-e-ashk
anjhuwan kun dasht aur saf-e-mizhgan ko sham jaan

teri gali mein dida o dil farsh-e-rah hain
aahista Tuk qadam kun rakh ai KHush-KHiram jaan

wahdat mein be-KHudi ka ibaadat hua hai nam
mai-KHane kun adab seti bait-ul-haram jaan

tegh-e-ajal sun kis ka salamat raha hai jiw
shoKHi sin jab nigah karen qatl-e-am jaan

us kun sharaf hai jis ki karen bandagi qubul
jo 'abru' talab hain so apna ghulam jaan