اردو हिंदी
Sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala | Shaahi Shayari
sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala

Ghazal

Sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala

Nilofar Afzal

;

sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala
dil ki qimat ka pata phul ki arzani se

kin sitaron ne jaDen pakDen sifal-e-nam mein
shab-gazidon ki samawat mein gul-bani se

qafile misl-e-saba dil se guzar jate hain
kaun milta hai bhari bhiD mein aasani se

ghar ke hote hue hum aise safar-baKHt-nujum
milte aae hain bahut be-sar-o-samani se