saint kar iman kuchh din aur rakhna hai abhi
aaj-kal bazar mein mandi hai sasta hai abhi
darmiyan jo fasla rakkha hua sa hai abhi
ek yahi us tak pahunchne ka wasila hai abhi
yun hi sab mil baiThte hain sabequnal-awwalun
dasht mein jari hamara aana jaana hai abhi
muskurana ek fan hai aur main nau-mashq hun
phir bhi kya kam hai use bechain dekha hai abhi
qumqumon ki raushni mein bhi nazar aata hai chand
ganw mein mera purana ek shanasa hai abhi
ja-ba-ja bikhre paDe hain sare aaza KHwab ke
zer-e-mizhgan kis ne ye shab-KHun mara hai abhi
kyun na ghaD len kuchh manaqib aur fazael habs ke
jab isi andhe kuen mein hum ko jina hai abhi

Ghazal
Saint kar iman kuchh din aur rakhna hai abhi
Sabir