sai-e-ghair-hasil ko muddaa nahin milta
be-niyaz dil ban kar dekh kiya nahin milta
zindagi-e-rafta ka kuchh pata nahin milta
KHak-e-pa to milti hai naqsh-e-pa nahin milta
us ka aaina hai dil ja-ba-ja nahin milta
dil mein jab ho tariki phir KHuda nahin milta
aamad-e-bahaaran ka ek payam lane se
kyun tera dimagh aaKHir ai saba nahin milta
aaina-ba-aina hum ne dekh Dale dil
ek sa zamane mein dusra nahin milta
jo teri nigahon se be-piye mila saqi
lakh jam pi kar bhi wo maza nahin milta
KHizr-e-rah ne kitne mir-e-karwan luTe
hae wo jo kahte hain rahnuma nahin milta
us ki aur manzil hai meri aur manzil hai
shaiKH se 'figar' apna rasta nahin milta
Ghazal
Sai-e-ghair-hasil ko muddaa nahin milta
Figar Unnavi