sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai
miTTi ne samundar ka lahu chus liya hai
duniya ki malamat ka bhi ab KHauf hai dil ko
KHashak ne maujon ko giraftar kiya hai
manzil hai na jada hai na saya hai na pani
tanhai ka ehsas faqat rah-numa hai
suraj bhi paDa rota hai ek gahre kuen mein
barson hue aakash bhi dhundlaya hua hai
bichhDe hue KHwab aa ke pakaD lete hain daman
har rasta parchhaiyon ne rok liya hai
kirnon se tarasha hua ek nur ka paikar
sharmaya hua KHwab ki chaukhaT pe khaDa hai
phulon se ladi Tahniyan phailae hain banhen
KHushbu ka badan KHak mein pamal paDa hai
diwar-o-dar-e-shahr pe hain KHun ke dhabbe
rangon ka hasin qafila sahra mein luTa hai
Ghazal
Sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai
Waheed Akhtar