sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein
khinchun har ek KHar ko pa-e-hisab mein
is barq ki tarah se ki ho wo sahab mein
aatish di baKHt-e-bad ne mujhe ain aab mein
dekhi thi zulf raat kisi ki main KHwab mein
ab tak hai baal baal mera pech-o-tab mein
Tuk ghaur kar tu bu-qalmon ka falak ke Dol
ek rang hai naya hi har ek inqalab mein
us shola-KHu se kasb-e-hararat kare hai dagh
zarra hai jis ka soz-e-dil-e-aftab mein
mai pi jo chahe aatish-e-dozaKH se tu najat
jalta nahin wo uzw jo tar ho sharab mein
jun mauj mujh se mujib-e-be-taqati na puchh
ek umr hai ki hun main isi iztirab mein
qazi KHabar le mai ko bhi likkha hai wan mubah
rishwat ka hai jawaz teri jis kitab mein
roz-e-shumar go ho mere sath baz-purs
main kya hun aur mere gunah kis hisab mein
ye sar-kashi hai utni tanik maegi pe kya
jhamka nahin hai bahr agar is sahab mein
kya kije howe chashm miyan teri hi jo kor
zahir hai warna husn wahi har naqab mein
naseh na taza ishq ki main waza ki hai rah
har kuchh kare hai aadmi ahd-e-shabab mein
qaem hai ye bhi taur koi zindagi ka yan
guzri tamam umr teri KHur-o-KHwab mein
'qaem' ho kis tarah se baham shakl-e-iKHtilat
wo is ghurur-e-naz mein hum is hijab mein
Ghazal
Sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein
Qayem Chandpuri