sahra mein jo mila tha mujhe itna yaad hai
mera hi naqsh-e-pa tha mujhe itna yaad hai
itna lahu lahu to nahin tha badan mera
han zaKHm ek hara tha mujhe itna yaad hai
phir kya hua kabhi meri barbaadiyon se puchh
teri taraf chala tha mujhe itna yaad hai
wo bhiD mein khaDa hai jo patthar liye hue
kal tak mera KHuda tha mujhe itna yaad hai
ek shahr jis ne kal meri aawaz chhin li
wo shahr-e-be-nawa tha mujhe itna yaad hai
main jaise muddaton se isi rahguzar mein hun
pal bhar ka fasla tha mujhe itna yaad hai
jaane phir us ke baad mujhe us ne kya kaha
hafiz KHuda kaha tha mujhe itna yaad hai
chehra kisi ka ab bhi tasawwur mein hai 'nafas'
ek ajnabi mila tha mujhe itna yaad hai

Ghazal
Sahra mein jo mila tha mujhe itna yaad hai
Nafas Ambalvi