sahra mein har taraf hai wahi shor-e-al-atash
dariya ka ruKH badal na sake log aaKHirash
pae gae hain ek KHat-e-mustaqim par
yaksan hain ab hamari nazar mein jahat-e-shash
ruKH se haqiqaton ke hijabaat uTh gae
ab e'tibar-e-did pe khaega kaun ghash
wo iKHtiyar-e-did ki surat nahin rahi
dil se nikal chuka hai har ek tir-e-nim-kash
ai aaftab-e-subh faraghat idhar kahan
hum log pi rahe hain abhi zahr-e-kashmakash
'hamid' harim-e-zat mein KHud apni dekhiye
aaKHir chhupa hua hai yahan kaun barq-wash
Ghazal
Sahra mein har taraf hai wahi shor-e-al-atash
Hamid Husain Hamid