اردو हिंदी
Sahra mein diwar banana jaane kaisa ho | Shaahi Shayari
sahra mein diwar banana jaane kaisa ho

Ghazal

Sahra mein diwar banana jaane kaisa ho

Khalid Ahmad

;

sahra mein diwar banana jaane kaisa ho
aur phir is se sar Takrana jaane kaisa ho

ye raste jo hum ne pag pag aap bikhere hain
in raston se lauT ke jaana jaane kaisa ho

jis ki poren dil ki ek ek dhaDkan ginti hain
jis ko hum ne KHud gardana jaane kaisa ho

us ke samne hum kya jaanen dil par kya guzre
nam tak apna yaad na aana jaane kaisa ho

us ki nigah mein aana koi chhoTi baat nahin
us ke dil mein rah bhi pana jaane kaisa ho

hum kya jaanen par lagen ya aar rahen 'KHalid'
rah gum-karda mar-khap jaana jaane kaisa ho