sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya
apne lahu se sinch ke hum ne miTTi ko gulzar kiya
yun hum apne ghar se nikle ghar hum ko takta hi raha
hum ne ada bhigi aankhon se qarz-e-dar-o-diwar kiya
kitni aankhen shauq-e-sarapa kitne chehre harf-e-sawal
jaane phir kya soch ke hum ne KHud ko tera bimar kiya
tum na kaho tariKH kahegi hum hain kis mear ke log
patthar khae phul tarashe rahon ko hamwar kiya
shoale lapke jab bhi hum ko barkha-rut ki yaad aai
aankhen barsin jab bhi hum ne zikr-e-lab-o-ruKHsar kiya
ek hi ruKH tak apna mizaj-e-zauq-e-wafa mahdud nahin
rang diya mai-KHane ko bhi maqtal se bhi pyar kiya
rasm-e-mohabbat 'shair' hum ko chalti hui talwar bani
jis ko banaya hum ne apna us ne hamin par war kiya
Ghazal
Sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya
Shaayar Lakhnavi