sahra ka pata de na samundar ka pata de
achchha ho ki ab mujh ko mere ghar ka pata de
hai kaun mera dushman-e-jaan mujh ko KHabar hai
kab main ne kaha mujh ko sitamgar ka pata de
ye raat amawas ki to kaTe nahin kaTti
ab aa ke mujhe mah-e-munawwar ka pata de
KHatre mein paDi jati hai maqtul ki pahchan
shayad hi koi shahr mein ab sar ka pata de
be-samt-o-jehat bhiD mein shamil na ho us se
ummat ka pata puchh payambar ka pata de
maidan hai KHali koi parcham hai na sar hai
hai kaun jo khoe hue lashkar ka pata de
ab aaKHiri tara bhi hua aankh se ojhal
ai aasman ab subh ke manzar ka pata de
Ghazal
Sahra ka pata de na samundar ka pata de
Nashtar Khaanqahi