sahra ka koi phul moattar to nahin tha
tha ek chhalawa koi manzar to nahin tha
phir kyun teri taswir Dhali ruh mein meri
afsun teri aankhon ka musawwar to nahin tha
ban kar mera apna wo bana hasrat-e-jawed
tha KHak ka putla hi muqaddar to nahin tha
main bhi teri KHalwat ka koi naz churaata
aisa koi qismat ka sikandar to nahin tha
afsana teri zulf ka ai jaan-e-tamanna
main kaise sunata mujhe azbar to nahin tha
talKHaba-e-dil tha ki hawadis ka sharar tha
fariyaad na karta koi patthar to nahin tha
KHud aag mein apni hi main jalta raha akasr
bargashta main tujh se mere dawar to nahin tha
hum ne bhi 'azim' aaj ghazal teri suni hai
uslub-e-bayan tera muassar to nahin tha
Ghazal
Sahra ka koi phul moattar to nahin tha
Azeem Qureshi