اردو हिंदी
Sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak | Shaahi Shayari
sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak

Ghazal

Sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak

Yawar Abbas

;

sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak
ai KHaliq-e-har-dard magar phir bhi kahan tak

pahunche na kahin dida-e-KHun-naba-fashan tak
wo harf-e-shikayat nahin aaya jo zaban tak

ye meri nigahon ke banae hue manzar
kambaKHt wahin tak hain nazar jae jahan tak

ek rasm-e-wafa thi wo zamane ne uTha di
ek zahmat-e-be-kar thi uThti bhi kahan tak

tum muatamid-e-raaz the kis tarah se pahunchi
hairat hai meri baat zamane ki zaban tak

chhuTe jo qafas se to wahi qaid-e-chaman thi
aazad yahan tak the giraftar yahan tak

taswir-e-ruKH-e-yar khinchi jati hai 'yawar'
milti hai fareb-e-gham-e-dauran se kahan tak