اردو हिंदी
Sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do | Shaahi Shayari
sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

Ghazal

Sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

Ishrat Kiratpuri

;

sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do
aur qatil ka naya nam masiha rakh do

ab to ruswai ki had mein hai meri tishna-labi
ab to honThon pe dahakta hua shoala rakh do

kitni tarik hai shab mere makan ki yaron
in munDeron pe koi chand sa chehra rakh do

ab ki barish mein mera nam chamak jaega
lakh tum ret ki tah mein mera katba rakh do

phir bhi haq baat ke kahne se na baz aaunga
mere hathon pe bhale daulat-e-duniya rakh do

nind si aane lagi zulf ke sae mein mujhe
phir mere KHwabon pe tapta hua sahra rakh do

mere afsane ko phir moD naya sa de do
aur unwan sulagta hua lamha rakh do

jo samajhte hi nahin meri zaban ko 'ishrat'
un ke afkar mein mera lab-o-lahja rakh do