sahmi hai sham jagi hui raat in dinon
kitne KHarab ho gae haalat in dinon
yani ki main KHuda se bahut dur ho gaya
uThte nahin dua ko mere hath in dinon
ruThi hui hai chand se ek chandni dulhan
be-nur hai ye taron ki baraat in dinon
na-ashna-e-sozish-e-gham hai tamam shahr
samjhe na tum bhi hiddat-e-jazbaat in dinon
utra hai meri aankh mein baadal ka ek hujum
har subh-o-sham hoti hai barsat in dinon
muddat hui ki chhuT gaya KHud se apna nafs
tum se bhi ho saki na mulaqat in dinon
ye sher-o-shaeri ka hi faizan hai 'qamar'
dushman bhi kar raha hai teri baat in dinon

Ghazal
Sahmi hai sham jagi hui raat in dinon
Qamar Abbas Qamar