اردو हिंदी
Sahar ne aa kar mujhe sulaya to maine jaana | Shaahi Shayari
sahar ne aa kar mujhe sulaya to maine jaana

Ghazal

Sahar ne aa kar mujhe sulaya to maine jaana

Wazir Agha

;

sahar ne aa kar mujhe sulaya to main ne jaana
phir ek sapna mujhe dikhaya to main ne jaana

ba-juz hawa ab rukega koi na pas mere
andheri shab mein diya bujhaya to main ne jaana

gaya ye kah kar ki ek shab ki hai baat sari
magar wo jab lauT kar na aaya to main ne jaana

main ek tinka ruka khaDa tha nadi kinare
nadi ne bahna mujhe sikhaya to main ne jaana

siyah baadal mein barq kaundi to sab ne dekha
teri hansi ne mujhe rulaya to main ne jaana

main oDh kar KHud ko so gaya tha ki be-KHatar tha
koi parinda jo phaD-phaDaya to main ne jaana

mere hi sine mein saKHt patthar si shai hai koi
jo aaj tu ne mujhe bataya to main ne jaana

main teri nazron se gir chuka tha magar jo tu ne
meri nazar se mujhe giraya to main ne jaana

hawa mein shamil thi tishnagi us ke tan-badan ki
hawa ne mera badan jalaya to main ne jaana