اردو हिंदी
Safina rakhta hun darkar ek samundar hai | Shaahi Shayari
safina rakhta hun darkar ek samundar hai

Ghazal

Safina rakhta hun darkar ek samundar hai

Sarvat Husain

;

safina rakhta hun darkar ek samundar hai
hawaen kahti hain us par ek samundar hai

main ek lahr hun apne makan mein aur phir
hujum-e-kucha-o-bazar ek samundar hai

ye mera dil hai mera aaina hai shahzadi
aur aaine mein giraftar ek samundar hai

kahan wo pairahan-e-surKH aur kahan wo badan
ki aks-e-mah se bedar ek samundar hai

ye intiha-e-masarrat ka shahr hai 'sarwat'
yahan to har dar-o-diwar ek samundar hai