اردو हिंदी
Safina le gae maujon ki garm-joshi mein | Shaahi Shayari
safina le gae maujon ki garm-joshi mein

Ghazal

Safina le gae maujon ki garm-joshi mein

Anwar Sadeed

;

safina le gae maujon ki garm-joshi mein
hazimat aai nazar jab kinara-koshi mein

nasha chaDha to zaban par na iKHtiyar raha
wo munkashif hue KHud apni baada-noshi mein

bana liya use sani phir apni fitrat ka
sukun jo milne laga un ko zahr-noshi mein

qubul rabb-e-karim-o-rahim ne kar li
meri zaban pe jo aai dua KHamoshi mein

khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir
hazar bhed chhupa rakkhe the KHamoshi mein

pasand ki na zamane ne sadgi meri
bharam rakkha hai KHuda ne safed-poshi mein

zad-e-itab mein un ke jo aa gae 'anwar'
na jaane kah gae kya kya wo garm-joshi mein