اردو हिंदी
Saffak sarab se ziyaada | Shaahi Shayari
saffak sarab se ziyaada

Ghazal

Saffak sarab se ziyaada

Hasan Akbar Kamal

;

saffak sarab se ziyaada
hai ishq azab se ziyaada

maqtul ke chehre par chamak thi
talwar ki aab se ziyaada

main ahl-e-kitab ko hamesha
paDhta hun kitab se ziyaada

kya rang dikhae hum jo chahen
kanTe ko gulab se ziyaada

utra wo ragon mein zahr jis mein
nashsha hai sharab se ziyaada

manus hain gham 'kamal' shayad
mujh KHana-KHarab se ziyaada