اردو हिंदी
Safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai | Shaahi Shayari
safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

Ghazal

Safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

Khalid Jamal

;

safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai
teri talash mein nikli to aarzu bhi gai

ek intizar sa tha barf ke pighalne ka
phir us ke baad to ummid-e-abju bhi gai

talab ki rah mein aise bhi moD aae hain
ki harf-o-saut gaya shoKHi-e-gulu bhi gai

ye barg-o-bar kahan jazib-nazar Thahre
tumhaare baad to phulon se rang-o-bu bhi gai

kuchh aise KHak uDai hai dasht-e-hu mein 'jamal'
ki jazb-e-shauq bhi tafriq-e-ma-o-tu bhi gai