safar se pahle sarabon ka silsila rakh aae
har ek moD pe aashob ek naya rakh aae
kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon mein
hum ek charagh sar-e-kucha-e-hawa rakh aae
tamam umr safar se gharaz rahi hum ko
har iKHtitam pe hum ek ibtida rakh aae
bhaTak na jae musafir koi hamare baad
so rah-e-shauq mein hum apne naqsh-e-pa rakh aae
ye be-samaat o be-chehra basarat log
ye pattharon mein kahan aap aaina rakh aae
Ghazal
Safar se pahle sarabon ka silsila rakh aae
Aslam Mahmood