اردو हिंदी
Safar sarabon ka bas aaj kaTne wala hai | Shaahi Shayari
safar sarabon ka bas aaj kaTne wala hai

Ghazal

Safar sarabon ka bas aaj kaTne wala hai

Shoaib Nizam

;

safar sarabon ka bas aaj kaTne wala hai
ki mere panw se dariya lipaTne wala hai

uTho ki ab to tamazat ka zaiqa chakh len
shajar ka saya shajar mein simaTne wala hai

to phir yaqin ki sarhad mein war kar mujh par
guman ki dhund mein jab tir uchaTne wala hai

tu itna jis ki ziya-bariyon pe nazan hai
ghubar-e-shab se wo chehra bhi aTne wala hai

ye ek saya ghanimat hai rok lo warna
ye raushni ke badan se lipaTne wala hai