safar nasib agar ho to ye badan kyun hai
dayar-e-ghair tumhaare liye watan kyun hai
hawa-e-shabnam-o-gul hai to be-KHudi kaisi
hisar-e-zat mein aashob-e-ma-o-man kyun hai
bas ek aks-e-nazara hai inkishaf-e-wajud
kulah-e-shisha-garan mein ye bankpan kyun hai
nishat-e-be-talbi jada-e-najat hua
KHabar nahin ki usi rah mein chaman kyun hai
libas-e-KHak shafaq-rang misl-e-shaKH-e-chinar
bisat-e-soKHta-amoz fikr-o-fan kyun hai
garan hai tab-e-zamana pe har sada-e-nafas
KHayal-o-KHwab pe nuqton ka pairahan kyun hai
Ghazal
Safar nasib agar ho to ye badan kyun hai
Shamim Hanafi

