اردو हिंदी
Safar mein gard chhaTi rasta dikhai diya | Shaahi Shayari
safar mein gard chhaTi rasta dikhai diya

Ghazal

Safar mein gard chhaTi rasta dikhai diya

Seeman Naved

;

safar mein gard chhaTi rasta dikhai diya
aur is ke baad mujhe dusra dikhai diya

zaban harf se mahrum ho gai hai meri
bataun kaise mujhe aur kya dikhai diya

mere hi KHwab tamanna ki lau mein jalte rahe
mera hi aks sar-e-aina dikhai diya

nikal ke aap se bahar dikhai kuchh na diya
dikhai kuchh na diya to KHuda dikhai diya

bhaTak raha tha main be-samt rahguzaron mein
phir ek roz tera naqsh-e-pa dikhai diya