اردو हिंदी
Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna | Shaahi Shayari
safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna

Ghazal

Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna

Nida Fazli

;

safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna
qadam yaqin mein manzil guman mein rakhna

jo sath hai wahi ghar ka nasib hai lekin
jo kho gaya hai use bhi makan mein rakhna

jo dekhti hain nigahen wahi nahin sab kuchh
ye ehtiyat bhi apne bayan mein rakhna

wo ek KHwab jo chehra kabhi nahin banta
bana ke chand use aasman mein rakhna

chamakte chand sitaron ka kya bharosa hai
zamin ki dhul bhi apni uDan mein rakhna