safar ke lakh hile hain
ye dariya to wasile hain
kahan se ho ke aai hai
hawa ke hath pile hain
Dasa hai hijr ne hum ko
hamare sans nile hain
KHudaya KHushk rut mein bhi
hamare nain gile hain
main shair hun mohabbat ka
mere dukh bhi rasile hain
abhi to jang jari hai
magar aasab Dhile hain
Ghazal
Safar ke lakh hile hain
Farhat Abbas Shah

