اردو हिंदी
Safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae | Shaahi Shayari
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae

Ghazal

Safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae

Abhishek Shukla

;

safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae
KHayal-o-KHwab mein ab ke bhi ghar na rah jae

main sochta hun bahut zindagi ke bare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae

bas ek KHauf mein hoti hai har sahar meri
nishan-e-KHwab kahin aankh par na rah jae

ye be-hisi to meri zid thi mere ajza se
ki mujh mein apne taaqub ka Dar na rah jae

hawa-e-sham tera raqs na-guzir sahi
ye meri KHak tere jism par na rah jae

usi ki shakl liya chahti hai KHak meri
so shahr-e-jaan mein koi kuza-gar na rah jae

guzar gaya ho agar qafila to dekh aao
pas-e-ghubar kisi ki nazar na rah jae

main ek or khaDa hun hisar-e-duniya ke
wo jis ki zid mein khaDa hun udhar na rah jae