safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai 
nazar se girna bhi goya KHabar mein rahna hai 
abhi se os ko kirnon se pi rahe ho tum 
tumhein to KHwab sa aankhon ke ghar mein rahna hai 
hawa to aap ki qismat mein hona likkha tha 
magar main aag hun mujh ko shajar mein rahna hai 
nikal ke KHud se jo KHud hi mein Dub jata hai 
main wo safina hun jis ko bhanwar mein rahna hai 
tumhaare baad koi rasta nahin milta 
to tai hua ki udasi ke ghar mein rahna hai 
jala ke kaun mujhe ab chale kisi ki taraf 
bujhe diye ko to 'adil' khanDar mein rahna hai
 
        Ghazal
Safar ke baad bhi mujhko safar mein rahna hai
Aadil Raza Mansoori

