safar karo to ek aalam dikhai deta hai
qad apna pahle se kuchh kam dikhai deta hai
main KHushk shaKH-e-KHazan pe yunhi nahin baiTha
yahan se abr ka parcham dikhai deta hai
magar tana hua rahta hai kam-nasibon se
ye aasman jo tumhein KHam dikhai deta hai
har ek hath mein patthar kahan se aaenge
tamam shahr to barham dikhai deta hai
KHud apne zaKHm pe itna hazin na ho ki 'suhail'
saf-e-adu mein bhi matam dikhai deta hai
Ghazal
Safar karo to ek aalam dikhai deta hai
Suhail Ahmed Zaidi

