safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb
ye aisa hai ki jaise ghar se hon diwar-o-dar ghaeb
hazaron mushkilen aain wafa ki rah mein mujh par
kabhi manzil hui ojhal kabhi rah-e-safar ghaeb
ajab manzar ye dekha hai KHirad walon ki basti mein
yahan sar to salamat the magar fikr-o-nazar ghaeb
hasin mausam ne nazren pher lin apne taghaful par
hue raftar-e-duniya ke sabab sham-o-sahar ghaeb
parindo lauT kar aana zara jaldi uDanon se
na ho jaen kahin aangan se ye buDhe shajar ghaeb
ye kis ki surKHi-e-ruKH sham ke chehre pe utri hai
ki jis ke rang mein mil kar hue zaKHm-e-jigar ghaeb
kami pahle hi thi shayan ahl-e-zarf ki lekin
nazar se ho rahe hain aaj kal ahl-e-nazar ghaeb

Ghazal
Safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb
Shayan Quraishi