safar hi koi rahega na fasla koi
ye ek KHayal hai is par bhi tabsira koi
raqam hua hun yaqin o qayas donon mein
kare to kaise kare mera tajziya koi
wo dast-e-sang hai main aaina-girafta hun
na ho sakega kabhi hum mein tasfiya koi
zamin pe aae na aae ye wahm hai sab ko
KHala ki god mein palta hai hadsa koi
main ek lakir ka qaidi hun bawajud is ke
har ek lakir se milta hai silsila koi
na jaane kis liye rota hun hanste hanste main
basa hua hai nigahon mein aaina koi
hawa sulati hai daman mein zard patton ko
use bhi chahiye jine ka mashghala koi
bhala hai dur rahe ek harif ki manind
hai phir bhi sae ka mujh se muamla koi
likha gaya nahin 'manzur' aaj tak shayad
shafaq ke bab mein subhon ka tazkira koi
Ghazal
Safar hi koi rahega na fasla koi
Hakeem Manzoor