safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun
milen jo gum-shuda rahen to lauT kar jaun
musalsal ek si gardish se hai qayam achchha
zamin Thahre to main bhi kahin Thahar jaun
sameTun KHud ko to duniya ko hath se chhoDun
asasa jama karun main to KHud bikhar jaun
hai KHair-KHwahon ki talqin-e-maslahat bhi ajib
ki zinda rahne ko main jite-ji hi mar jaun
saba ke sath mila mujh ko hukm-e-dar-ba-dari
gulon ki zid hai mizaj un ka puchh kar jaun
meri uDan agar mujh ko niche aane de
to aasman ki gahrai mein utar jaun
wo kah gaya hai karun intizar umr tamam
main us ko DhunDne niklun na apne ghar jaun
kahan uThae phirun bojh apne sar ka 'wahid'
ye jis ka qarz hai us ke hi dar pe dhar jaun
Ghazal
Safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun
Waheed Akhtar