safar bhi dur ka hai rah aashna bhi hain
chala udhar ko hun jis samt ki hawa bhi nahin
guzar raha hun qadam rakh ke apni aankhon par
gae dinon ki taraf muD ke dekhta bhi nahin
mera wajud meri zindagi ki had na sahi
kabhi jo tai hi na ho main wo fasla bhi nahin
faza mein phail chali meri baat ki KHushbu
abhi to main ne hawaon se kuchh kaha bhi nahin
samajh raha hun 'muzaffar' use sharik-e-safar
jo mere sath qadam do qadam chala bhi nahin

Ghazal
Safar bhi dur ka hai rah aashna bhi hain
Muzaffar Warsi