sadiyon ke andhere mein utara kare koi
suraj ko kisi roz hamara kare koi
ek KHauf sa bas ghumta rahta hai saron mein
duniya ka mere ghar se nazara kare koi
rangon ka tasawwur bhi uDa aankh se ab to
is shahr mein ab kaise guzara kare koi
yun dard ne ummid ke laD se mujhe bandha
dariyaon ko jis tarah kinara kare koi
indhan se hua jin ke safar chand ka mumkin
un ke bhi to chulhe ko sanwara kare koi
raaton ki hukumat mein mere KHwab ka tara
jine ke liye jaise ishaara kare koi
ye aaj bhi apna hai 'faqih' is ka bhi socho
kis tak yunhi yaadon ko sahaara kare koi
Ghazal
Sadiyon ke andhere mein utara kare koi
Ahmad Faqih