sadaqaton ko ye zid hai zaban talash karun 
jo shai kahin na mile main kahan talash karun 
meri hawas ke muqabil ye shahr chhoTe hain 
KHala mein ja ke nai bastiyan talash karun 
aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai 
main shahr shahr phirun nekiyan talash karun 
makan-fareb KHushamad maash samjhaute 
barae kashti-e-jaan baadban talash karun 
to kab talak yunhi suraj tale rahegi dhup 
tere liye bhi koi saeban talash karun 
guhar-qnasib sadaf ka to zikr kya 'anjum' 
main sahilon ke liye sipiyan talash karun
        Ghazal
Sadaqaton ko ye zid hai zaban talash karun
Anjum Khaleeq

