sadaqaton ke payambar gae rasul gae
KHudi ki hurmat-e-afzal gai usul gae
jo bul-hawas the sar-e-am dandanate rahe
jo haq-parast the sab phansiyon pe jhul gae
gila faqat hai ye zahid ki parsai se
zara sa waqt paDa un ke sab usul gae
KHizar se hum bhi mila kar qadam chale the magar
masafaton ki tawalat se sans phul gae
tumhaare jaane se har ek kali ka rang uDa
chaman se fasl-e-bahaaran gai to phul gae
rah-e-hayat mein lakhon the ham-safar 'ejaz'
kisi ko yaad rakha aur kisi ko bhul gae
Ghazal
Sadaqaton ke payambar gae rasul gae
Ejaaz Ahamd Ejaaz