sada rang-e-mina chamakta raha
hamesha ye sabza lahakta raha
wo kucha hai ulfat ka jis mein sada
KHizar rah bhula bhaTakta raha
khula ye jahan parda-e-dar hila
jahan jo raha sar paTakta raha
bata laghari se hai par baal bhi
main aankhon mein sab ki khaTakta raha
labaalab yahan ho chuka jam-e-umr
wahan saghar-e-mai chhalakta raha
barasti rahi qabr par bekasi
gharibon ka madfan Tapakta raha
raha nara-zan ku-e-jaanan mein 'shad'
gulistan mein bulbul chahakta raha
Ghazal
Sada rang-e-mina chamakta raha
Shad Lakhnavi

