اردو हिंदी
Sada fariyaad ki aae kahin se | Shaahi Shayari
sada fariyaad ki aae kahin se

Ghazal

Sada fariyaad ki aae kahin se

Iqbal Suhail

;

sada fariyaad ki aae kahin se
wo zalim bad-guman hoga hamin se

KHuda samjhe but-e-sehr-afrin se
gareban ko laDaya aastin se

chaman hai shoala-e-gul se charaghan
bahaar aai nawa-e-atishin se

KHirad hai ab bhi jis ke hal se aajiz
wo nukte hal kiye hum ne yaqin se

salamat wusat-abaad-e-mohabbat
bahut aage hain hum duniya-o-din se

maaz-allah jalal us aastan ka
Tapak paDte hain sajde KHud jabin se