sada apni rawish ahl-e-zamana yaad rakhte hain
haqiqat bhul jate hain fasana yaad rakhte hain
hujum apni jagah tarik jangal ke daraKHton ka
parinde phir bhi shaKÙH-e-ashiyana yaad rakhte hain
hamein andaza rahta hai hamesha dost dushman ka
nishani yaad rakhte hain nishana yaad rakhte hain
hum insanon se to ye sang-o-KHisht-e-baam-o-dar achchhe
musafir kab hua ghar se rawana yaad rakhte hain
dua-e-mausam-e-gul un ko ras aa hi nahin sakti
jo shaKH-e-gul ke badle taziyana yaad rakhte hain
hamari samt ek mauj-e-tarab aai to yaad aaya
ki kuchh mausam hamein bhi ghaebana yaad rakhte hain
ghurur un ko agar rahta hai apni kaamyabi ka
'sahar' hum bhi shikast-e-fatehana yaad rakhte hain
Ghazal
Sada apni rawish ahl-e-zamana yaad rakhte hain
Sahar Ansari