اردو हिंदी
Sabza tumhaare ruKH ke liye tang ho gaya | Shaahi Shayari
sabza tumhaare ruKH ke liye tang ho gaya

Ghazal

Sabza tumhaare ruKH ke liye tang ho gaya

Muneer Shikohabadi

;

sabza tumhaare ruKH ke liye tang ho gaya
tuti ka aks aaine mein zang ho gaya

past-o-buland dahr mein khata hun Thokaren
aisa samand-e-umr-e-rawan lang ho gaya

bismil ko bhi taDapne ki milti nahin jagah
kya arsa-e-hayat-e-jahan tang ho gaya

ham-zad se bhi ye tan-e-laghar hua subuk
tola to apne saye ka pasang ho gaya

josh-e-junun ne jism ke purze uDa diye
raKHt-e-barahnagi bhi mujhe tang ho gaya

us but se jism-e-zar jo lipTa shab-e-visal
aalam ko ehtimal-e-rag-e-sang ho gaya

mazmun-e-ah-e-garm ne jalwa dikha diya
uD kar hawa mein nama mera chang ho gaya

nale kiye tasawwur-e-gesu mein raat bhar
dil ham-safir-e-murgh-e-shab-ahang ho gaya

sar kaT ke gir paDa usi qatil ke panw par
jallad se milap dam-e-jang ho gaya

uD uD ke mere chehre par ai shoKH rah gaya
murgh-e-shikasta-baal mera rang ho gaya

karta raha lughat ki tahqiq umr bhar
aamal-nama nusKHa-e-farhang ho gaya

munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat
darwaza ghar se saikDon farsang ho gaya

mahrum hun main KHidmat-e-ustad se 'munir'
kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya